In haathoun ki lakeeroun pe
Kiun tera naam nazar aye
Tu na sath aur hum faqeeroun se
Tere aagay gir jayain
Tu khudgarz
Likhun main kese yeh dard
Jamtay hain haath, mausam hai sard
Tu door bhi jese yeh arsh
Aur betha main farsh pe
Kar raha sabar
Tere hi roothne ka dar
Kha jaye dil yeh, kahan jaye dil ye
Tujhse hi milke
Gham ye mitaanay hain
Tu hi hai aakhri fard
Hn teri hi yaadain jagati
Arsoun se mene thi raatain nhi jaagi
Naveli woh ayi yahan pe
Na veli woh paas nhi aati
Kiun, tu matlabi
Dil main tu mere kiun sar chari
Har barhi na bartari
Hn tu hi dikhay mujhe har gali
Main be(Bae)-bas
Khud ko ragarh dun har aik waqt
Ruk lu tou kon dekhe yeh sab
Luqmay bhi lgte hain rait ab
Lait kar
Sochun bs tere hi baaray
Kese kamray ki chhat pe sitaaray
Dikhtay hain, aksar woh mujhe bula rahay
Hn zindagi jee rahay bs rab ke sahaaray
Woh jaantay
Rooh meri, aur khuwaab tere
Haathoun main haath tere
Woah
Bhookay hi tere deedar ke hain
Aur band yeh raastay hain
Tanhaiyoun main
In haathoun ki lakeeroun pe
Kiun tera naam nazar aye
Tu na sath aur hum faqeeroun se
Tere aagay gir jayain
Ab is siyahi ka rung bhi laal hay
Lagay guzar gaye saal, ab bura yeh haal hay
Ab zehen k sath yeh dil shumaar hay
Teri yaadayn satayen, musalsal bimaar hayn
Han kehnay ko baatayn thi bohot
Par aagay main tere tha rehta khamosh
Tu dil k sheher mai hay mehez toofaan si
Door hay tu ab mehez gumaan si
Ab hungama dekh na tu
Tujhy laga main andha, na dekhta hun
Ab na aati hay neend na hi baaki umeed
Tujhy kiya bedhakal tu jaati nahi
Tou reh idher hi
Mera kya? jata hun main bikhar hi
Main idher hi
Lehron ki maanid tu therti kab thi?
Khayr ab sab theek
Kehney ko kehdeta hayn hi lafz nahi
Hay sabar nahi
Ya Isha na ho ya phir ho Fajr nahi
Rooh meri, aur khuwaab tere
Haathoun main haath tere
Woah
Bhookay hi tere deedar ke hain
Aur band yeh raastay hain
Tanhaiyoun main
In haathoun ki lakeeroun pe
Kiun tera naam nazar aye
Tu na sath aur hum faqeeroun se
Tere aagay gir jayain
In haathoun ki lakeeroun pe
Kiun tera naam nazar aye
Tu na sath aur hum faqeeroun se
Tere aagay gir jayain