DIL LOOTNE WALE JAADUGAR - SUHANE PAL
F :- dil lootne waale jaadugar
Ab maine tujhe pahchaanaa hai
M :- nazren to uthaa ke dekh zaraa
tere saamne ye deewaanaa hai
*********
F :- dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pahchaanaa hai
M :- nazren to uthaa ke dekh zaraa
tere saamne ye deewaanaa hai
*********
F :- ye chaand-sitaare dekh na len
mere pyaar ke naazuk bandhan ko
ye chaand-sitaare dekh na len
mere pyaar ke naazuk bandhan ko
M :- aankhon mein chhupaakar rakh loongaa
is phool se komal tan-man ko
F :- dheere se
dheere se kaho ye baat piyaa
jag apnaa nahin begaanaa hai
M :- nazren to uthaa ke dekh zaraa
tere saamne ye deewaanaa hai
*********
M :- armaan thaa tujhko dekhoon main
saawan ki nasheeli raaton mein
armaan thaa tujhko dekhoon main
saawan ki nasheeli raaton mein
F :- kho jaayen piyaa ham-tum donon
in pyaar ki meethi baaton mein
M :- tu saamne
tu saamne hai to sab kuchh hai
warnaa ye chaman veeraanaa hai
F :- dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pahchaanaa hai
*********
F :- main pyaar ki maalaa goonthungi
aashaaon ki kaliyaan chun-chun ke
main pyaar ki maalaa goonthungi
aashaaon ki kaliyaan chun-chun ke
M :- roothe na kabhi mujhse duniyaa
ye baat tumhaari sun-sun ke
F :- armaan bhare
armaan bhare dilwaalon ne
duniyaa ne kahaa kab maanaa hai
M :- nazren to uthaa ke dekh zaraa
tere saamne ye deewaanaa hai
F :- dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pahchaanaa hai