Ye dil tum bin
Kahin lagta nahin
Hum kyaa karein
Ye dil tum bin
Kahin lagta nahin
Hum kyaa karein
Tasawur mein
Koi bastaa nahin
Hum kyaa karein
Tumhin keh do
Ab ae jaane wafaa
Hum kyaa karein
Lute dil mein
Diya jalta nahin
Hum kyaa karein
Tumhin keh do
Ab ae jaane adaa
Hum kyaa karein
Ye dil tum bin
Kahin lagta nahin
Hum kyaa karein
Kisi ke dil mein bas ke
Dil ko tadpaana
Nahin achchhaa
Kisi ke dil mein bas ke
Dil ko tadpaana
Nahin achchhaa
Nigaahon ko
Jhalak de de ke
Chhup jaana
Nahin achhaa
Umeedon ke
Khile gulshan ko
Jhulsaanaa
Nahin achhaa
Humein tum bin
Koi jachtaa nahin
Hum kyaa karein
Tumhin keh do
Ab ae jaane wafaa
Hum kyaa karein
Lute dil mein
Diya jalta nahin
Hum kyaa karein
Mohabbat kar to lein lekin
Mohabbat raas aaye bhi
Mohabbat kar to lein lekin
Mohabbat raas aaye bhi
Dilon ko bojh lagte hain
Kabhi zulfon
Ke saaye bhi
Hazaron ghum hain
Iss duniya mein
Apne bhi paraye bhi
Mohabbat hi kaa ghum
Tanhaa nahin
Hum kyaa karein
Tumhin keh do
Ab ae jaane adaa
Hum kyaa karein
Ye dil tum bin
Kahin lagta nahin
Hum kyaa karein
Bujha do aag dil ki
Ya isse khul kar
Hawa de do
Bujha do aag dil ki
Ya isse khul kar
Hawa de do
Jo iss ka mol de paaye
Usse apni wafaa de do
Tumhare dil mein
Kya hai bas
Humein itnaa
Pata de do
Ke ab tanhaa safar
Kattaa nahin
Hum kyaa karein
Lute dil mein
Diya jalta nahin
Hum kyaa karein
Ye dil tum bin
Kahin lagta nahin
Hum kyaa karein