menu-iconlogo
logo

Jazbaat

logo
Тексты
Verse 1: Nabeel Akbar

Zubaan gandi par dil saaf rakhe hein shuru se

Waqt ki tangi sakht halaat bus mere guru they

Mein haske sab kuch sehta raha, qalam se dard ye behta raha mein pairon pe khara ab tk Teray bharosay

Chun raha zameen se girey huay apny tukray

22 saal ki umar mein jese buzurg mein

Mein jese banchuka hu qaidi, baalon mein agayee safaidi teri umar se ziada tabhi mere tajurbay

Sharaab se ziyada nasha bhara para ragon mein

Zindagi kese bayan kardun mein chand lafzon mein, meine chalna seekha ungli pakar k mout ki, bachpan se hee meri thee tanhayee se sirf dosti, tb se leke aajtk larta raha zamaanay se, Rozana mar mar k ab nhi darta mein marjaanay se, azaad hona chahta hu gunahon k peimaanay se

Aye khuda mein thak chuka mjhko waapis ghar aanay de

Mein ranjishon or bandishon ki zanjeeron mein phas chuka, haathon ki lakeeron ki taqdeeron se tang aachuka

Kitabon ki tehreeron mein apnay zakham chupa raha, mein kia karu ye sab mere hissay mein pehle se likha

Chorus: Umair Khan

Tootay sab sapne mere kaanch se

Roothay sab apne mere naam se

Munh pe mein kehta sab kuch saamne

Haan maante qasurwaar hum khud ko apne haal ke

Verse 2: Umair Khan

Kardu dafan mei apne khwaab kaise?

Log kahain mauseeqi haraam

Aur jhoot raah e haqq hai

Per mein, kabhi na rukkuga yeh baatain jo hain

Kardeti khokla andar se

Par hai bharosa khud pe

Idhar ghaday ghoray mei koi farq Nai

Naukri na kare jo woh mard nai

Bekhayali haath hain khali

Andheri subah hai ya hai raat saali

Khud hi khud mei khud ko kosoon

Ya dun khud ko gaali?

Aur ab wohi khaali haath leke

Raat leke betha hu band kamre mei

Bus jeene ki aik aas leke

Toota hua dil aur marre hue jazbaat leke

Larhraha mei ab tak

Bus kuch aakhri saansen hain

Khari meri maut bus kuch thore se faasle pe

Leke pichla bojh kaise chalu aagay raaste pe

Machta to hai shor par koi sunta Nai awaaz jaise

Lagay mujhay roz ke yeh din mere aakhri se

Verse 3: Talha Anjum

Aja baat karein zindagi ki

Aaj baat karein teri meri zindagi ki

Hum dono bachay thay aur chaaro taraf gandagi thi

Kalashan baj rahi thi khulli charas bikk rahi thi, agay sun..

Hum young bhi thay dumb bhi thay

Rehnuma thay kam, bharkanay walay kam nai thay

Tere saamne hain, teer ab kamaan mein hain

Hip Hop andheray mein tha jaise kisi gaar mein hai, agay sun..

2009, rap scene, nobody

2018, Urdu Rap ka bol baala

2020, mujhay rap bore karay

2022, saaray ab rap pe gaur karein

Prophecy, and though I'm not a prophet

Big bills but not bigger than the profit

Word play oh my days Talha, bro stop!

Shoot me dead and there's a chart I might still top

Sach ke muqaablay mein wo laatay hain jhoot

Everytime I write songs umeed jaati toot

Ke bas ye aakhri, ke bas ab aur nai

Ke mere mein ab dunya se larnay ka zor nai

Par Maula Madad keh ke, hum agay barhtay rehtay

Rappers tou tab bhi thay par tab bhi nai thay mere jaise

Jaise taise karke laga raha chora nai

Time lagaya hai bhai aise he hota chaurha nai

Mora nai mein ne mu kabhi bhi is game se

Kabhi nai gina Kya kuch cheena mujhse game ne

Mere liye rahay ga humesha game he

Urdu Rap aur Mein saath, till eternity

Chorus

Tootay sab sapne mere kaanch se

Roothay sab apne mere naam se

Munh pe mein kehta sab kuch saamne

Haan maante qasurwaar hum khud ko apne haal ke

Jazbaat от Nabeel Khan/Talha Anjum - Тексты & Каверы