Main khud hi apni talaash mein hoon
Main khud hi apni talaash mein hoon
Mera koi rehnuma nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
Mera koi rehnuma nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
Mera koi rehnuma nahi hai
Woh kyaa dikhayenge raah mujhko
Jinhein khud apna pata nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
MasarratoN ki talaash mein hai
Magar ye dil jaanta nahi hai
MasarratoN ki talaash mein hai
Magar ye dil jaanta nahi hai
Agar gham-e-zindagi na ho to
Zindagi mein mazaa nahi hai
Agar gham-e-zindagi na ho to
Zindagi mein mazaa nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
Bahot dino se main sun raha tha
Sazaa wo dete hain har khataa par
Bahot dino se main sun raha tha
Sazaa wo dete hain har khataa par
Mujhe to iski sazaa mili hai
Ke meri koi khataa nahi hai
Mujhe to iski sazaa mili hai
Ke meri koi khataa nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
Shaoour-e-sajada nahi hai mujhko
Tu mere sajdoN ki laaj rakhana
Shaoour-e-sajada nahi hai mujhko
Tu mere sajdoN ki laaj rakhana
Ye sar tere aashtaN se pehale
Kisi ke aage jhuka nahi hain
Ye sar tere aashtaN se pehale
Kisi ke aage jhuka nahi hain
Main khud hi apni talaash mein hoon
Ye inke mandir ye inki masjid ye
Zarparasto ki sajda gaheN
Ye inke mandir ye inki masjid ye
Zarparasto ki sajda gaheN
Agar ye inke khuda ke ghar hai to
Inmein mera khuda nahi hain
Agar ye inke khuda ke ghar hai to
Inmein mera khuda nahi hain
Main khud hi apni talaash mein hoon
Main khud hi apni talaash mein hoon
Mera koi rehnuma nahi hai
Woh kyaa dikhayenge raah mujhko
Jinhein khud apna pata nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon
Mera koi rehnuma nahi hai
Main khud hi apni talaash mein hoon