Khwahishen kahen ye meri dhadkanon ke ghar mujhe basaa le
Basaa le
Dooriyan mitaa ke saari sooni sooni zindagi sajaa de
Sajaa de
Dil mein baaki abhi hain umeeden
Aati hongi tujhe bhi meri yaadein
Aake meri betaabi ko tu mitaa de
Tera chehra dikha de thami saanse chalaa de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Tera chehra dikha de thami saanse chalaa de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Bechaini si aasman mein phaili har kanhi hai
Tu nahi to lage jaise kuch bhi nahi hai
Jaisi meri rooh mein udaasiyan bhari hai
Hogi tu bhi tanha ye mujhko yakeen hai
Keh rahi tumse meri wafaa
Tu meri shab ki pehli dua
Sunti hogi tu bhi mann mein tere
Aahatein jo mere mann mein goonje
Aake meri betaabi ko tu mitaa de
Tera chehra dikha de thami saanse chalaa de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Tera chehra dikha de thami saanse chalaa de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Jeene ki mujhe phir se wajah de
Saunda sa tera sharmaake muskuraana
Dheema dheema meetha sa tera gungunana
Chhup chhup ke aise mujhe dekhna tumhara
Phirta khayaalon mein hai tera sharmana
Chaahaton ki tu hai ittada
Ishq ki mere tu inteha
Khoyi hongi teri bhi to neenden
Bheegti hongi teri bhi ye aankhen