Akelapan bhi behtar hai
Jab teri yaadon ka saath ho
Unka wajood hi kya
Jab yaadon me bhi na tu paas ho
Ye meri khamoshiyan kehti hai
Kuch nahi
Bas pannon pe behti hai
Tu aaj bhi paas hai dil ke
Tu aaj bhi dil me rehti hai
Aaj bhi dhadkan badhaati tu
Deti muskaan is chehre pe
Tujhse roshan jahaan poora
Ab na darta andhere se
Phir aata ye yaad ke
Aaj sukoon nahin
Yakeen ni yaadon ke ghere pe
Ye mere us kal ki baat hai
Kaise hua rukhsat tu mere se
Tere se kya hi gila karun
Tere hi kulfat ke maare hai
Ye sabhi khushiyaan tum lelo
Tere sab gham hamaare hai
Tere hi hone se zinda
Sooraj se chaand ho paare hai
Hum aaj bhi kaayal hai aapka
Kalam se rooh pe naam likha rahe hai
Aaj bhi muntazir aapke
Aaj bhi mutasir aapse
Aaj bhi aankhein karun band
Tareeki saath me tassawur aapke
Aaj tasweer jo dekhi to
Sama ruka saara
Sehma rooh ka saara
Banda toota usse bola
Kyun na hua
Tu tha mera bata
Jhootha tera waada
Maana maine tu nahin saath ab
Maana maine rooh nahin saaf ab
Maana maine
Nam kiye nain ye
Manun kaise
Tu nahin saath ab?
Maana maine tu nahin saath ab
Maana maine rooh nahin saaf ab
Maana maine
Nam kiye nain ye
Maanun kaise
Tu nahin saath ab?
Likhna to rukta hi nahi hai
Jaana ab kalam se zinda
Tere jab saath me the hum
To hoti thi mamuli chinta
Ke uski hansi hai keemti
Kahin hojaaye wo kam na
Hum to zindagi de baithe the
Tujhe hi jaana na aata tha thamna
Ab na baha tu aankhon ko
Bhool ja beeti hui baaton ko
Raaton ko dil kahe jo
Mil sake hum
Phir kabhi to
Meri ek baat sahi ko
Sirf ghadi do
Deke dekho
Aise khayaalon ki
Jaan kabhi na aag me ghee do seedha dafna do
Meri ye baat lagi buri to
Mujhe tum boldo dafa ho
Dil se aaj bhi hum hai
Aapke jaana ye baat chhupa lo
Lagte do jaam kabhi
Jo kaam ke nahin to
Dil ye faaliz ho
Raat ko naam ke saath the
Ab nahin ye
Baat ranwa ho
Maana maine tu nahin saath ab
Maana maine rooh nahin saaf ab
Maana maine
Nam kiye nain ye
Maanun kaise
Tu nahin saath ab?
Maana maine tu nahin saath ab
Maana maine rooh nahin saaf ab
Maana maine
Nam kiye nain ye
Maanun kaise
Tu nahin saath ab?