Mein strange sa hun
Feel kar raha ke
Ajkal na mujh mein
Mein raha hun laapata
Mein ghumshuda
Yeh zindagi mein chaar paanch se
Jo log hein khaamosh hein
Anjaan se kharay hue hein kiyun yahan
Yeh kis gumaan mein mein itne saal
Youn guzaar aya hun ke
Zindagi mein reh gaya hai ik khalaa
Yeh shaan o shoukat o saaman e zindagi ke mashghale
Yeh saans lene mein chupi hui hai jo saza
Mein aasman ko taakta hun iss tarha
Ke jaise sun raha hai woh meri
Har ik sadaa
Mein jhoomti hui hawaaon ka
Panahon ka fazaaon ka
Mein aik phool mar gaya jo hai gulaab ka
Wooo oooo oooo
Wooo oooo oooo
Wooo oooo oooo
Wooo oooo oooo
Zubaan saath chor deti hai
Ehsaas mar se jaate hein
Kahun agar mein kuch kabhi
Toh log youn hi muskurate hein
Mein zindagi ke aise phase mein hun
Youn kaho ke craze mein hun
Ik saaz hai or kisi
Naye gaane ke phrase mein hun
Mein khoob chirta hun inn baarishon se
Kuch puraani adaton se
Le jo aati hein yeh yaad e gumshuda
Mein heer hun na hun farhad
Mein na majnun hun na laila hun
Mein aik larka hun
Haan
Seedha saadha saa
Oooo yeh mera gaanaa
Oooo mera fasanaa
Oooo yeh mera gaanaa
Oooo mera fasanaa
Yeh meri zindagi
Yeh meri dillagi
Yeh meri tishnagi
Yeh meri bandagi
Mein aise likh doonga
Mein aise keh doonga
Mujhe ho kia fikar
Mujhe ho kaisa dar
Mera jo dil kahe
Mein kahunga woh
Mein sunaonga
Apni marzi ke hi gaanay
Mujhko kaisa dar
Mujhko kiyun ho dar
Yeh hai meri kahani
Meri hi zubaani sun le naa
Sun le
Naaa aaaa
Ooo ooo oooo