menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Baat Na Pucho

Sunny Khan Durranihuatong
patkempstonhuatong
Тексты
Записи
Dekho

Baat na pucho

Dekho dekho

Aray baat na pucho

Dekho dekho

Baat na pucho

Dekho baat na pucho

Dekho dekho

Aray baat na pucho

Dekho dekho

Baat na pucho

Mujhe hosh nahi pyaare

Mere kho gaye sitaare

Mene suna nahi aap mujhe kab se bulaaray

Mujhe hosh nahi pyaare

Mujhe sab kyun pukaarain?

Mene suna nahi aap mujhe kab se bulaaray

Aap mujhe nahi mere kalaakaar ko dekhein

Mujhe soday ye khudaai ke kaafi par gaye mehenge

Mujhe paas to bulaalain

Mujhe faaslay bhulaade

Mеri dubti hui naiyya ko paar to lagaadain

Ham to haath ni phelaate

Hamain aap hi to jaanain

Mujhe jag dе sazaa meri seekh hai

Mujhe dur se hi pyaar do ye theek hai

Mujhe jhoot nahi chahiye ke bheek hai

Teri teen taqseem

Meri teen shanaakht hain

Mujhe deen baatadain

Mera scene kharaab hai

Mujhe neend nai aati ke mera tootay hue khwaab hain

Mat sataen ke mere sar pe azaab

Me shetaano ki sunu aur farishton se sawaal karun

Kab tak me apno aur dard me dhaal banun?

Khol dun me nassain aur me sab ko hi nijaat bakhshun?

Tor dun ye waaday apni bachi hui uraan bharun?

Sab hi me dubaadun aur tu reh jaye la chaar

Mene saare taaluq toray jo the tere saghay yaar

Mene sab ki jaibain maari me tum sab ka gunehgaar

Mene chaid kiye thaali me aur thaali phenki bahar

Mene bhair bakriyon me chupi loomri di maar

Mene kaalay aur safaid ko bhi rung beche chaar

Mene pankh nahi torray mujhe pankhon se pyaar

Me kehta hun bulbul ko naach ke dikhaa

Par bulbul bichaari ke dost pareshaan hain

Kya karain? Bulbul ko wehshi se pyaar hai

Bulbul se kehna ke wehshi ko maar de

Zeher gholay chonch me aur khoon me utaar de

Wo wehshi agar bach gaya ye bulbul ki haar hai

Par kya karain? Bulbul ko wehshi se pyaar

Yahan kalakaar se kaafi kuch kala leti cheen bhi

To le gayi mera bistar aur wo le gayi meri neend bhi

Rooh bhi khamosh aaj kal chup hai zameer bhi

To taap leta be-sharam aksar lakeer bhi

Puraane tere sikkay

Onay-ponay daamon bikkay

Kab tak khaate rahoge dhikkay?

Tumhe raasta kab dikhay?

Dedun waasta ye sikkay phenko

Manzil koi dusri dekho

Tumpe hain ilzaam aur tum ghalti kab maantay ho?

Khud gharz ho tum bas tum khud ko nai jaantay

Tum horahe badnaam aur tum ghalti kab maantay ho?

Bhool gaye saaray khanjar seene me jo ghuppay?

Mujh faraibi ko yahan pe bewafai kabse chubhay?

Hosh nahi pyaaray

Mere kho gaye sitaaray

Mene suna nahi aap mujhe kab se bulaaray

Mujhe hosh nahi pyaaray

Mujhe bakhsh do na saaray

Meri mehel-e-jaan ki saari gir rahi dewaarain

Mujhe hosh nahi pyaaray

Mujhe rok na yahan pe

Ae Khuda! Tere banday ko sab hi sataaray

Mujhe hosh nahi pyaaray

Mujhe chor do na yahan pe

Mene suna nahi aap mujhe kab se bulaaray

Mujhe hosh nahi pyaaray

Mujhe bakhsh do na saaray

Mere mehel-e-jaan ki saari gir rahi dewaarain

Mujhe hosh nahi pyaaray

Mujhe rok nahi pyaaray

Ae Khuda! Tere banday ko sab hi sataaray

Ae Khudaa! Tere banday ko sab hi sataaray

Ae Khudaa!

Еще от Sunny Khan Durrani

Смотреть всеlogo

Тебе Может Понравиться