menu-iconlogo
huatong
huatong
Тексты
Записи
Kitni hi naimaton ko kiya mene andekha

Kitne afsos leke afsurda ban betha

Kya hua jo abu hogaye dur?

Mujhe hona chaiye fakhar ke me Maa ka gharoor

Ke me marham hun zakhmon pe tootay we dil ki

Ye taaqat bhi sirf Rab ke sab pyaaron ko milti

Ke bikhray we log mere geeton me aks dekhain

Jhoom rai hai rooh meri arsh pe sab raqs dekhain

Socho wahan upar bhi kya hoga samaa

Nusrat sahab ki awaaz Bulleh Shah ka qalaam

Jagit aur Ghaalib ki bhi hogi mulaaqaat

Elia sahab ko bhi milgaye sab sawaalon ke jawaab

Ke kon rehta hai aasmaan me

Kya rakha hai tootay samaan me

Is mehfil me in sab me aik aur shaks hoga

Wohi jiska naam leke aage me hun chal raha

Jaanta hun abu aap upar muskuraa rahe

Bеta Mere bataa ke wahan sab ko jataa rahе

Faiz, Jaalib, Jiggar ko bhi mere geet sunaa rahe

Me Jaanta hun abu aap ab bhi muskuraa rahe

Fikkar nahi karna aapka beta abhi zinda hai

Naam aapka rahega ye aapse mera waada hai

Yaad aaya mere sunne waale ka peghaam

Ke mene anjaane me bachaali uski jaan

Kese geet mere uske ghamon ke hue saathi

Kese wo bhi akela nahi dunya samajh paati

Aur agar tum bhi jo sun rahe yehi mehsoos karte

No ro mere pyaaray dekho aese nai afsos karte

Waada hai mera badlenge halaat

Ye waada hai teri kabhi hogi na maat

Tu dil ka hai sacha tu rooh ka bhi saaf hai

Ye dunyaawi mitti jo ur rai aas paas

Ham badlenge, Hamne kal ko sawaarna

Hamne kisi ka dil me bhi rakhna udhaar na

Na hoga koi dushman na dilon me khot hoga

Jo bhi nazar aaye, wo apna hi dost hoga

Galay se laga lo jo bhi pyaara tere saath

Jo saath nahi unse bhi hogi mulaaqaat

Wo kehenge ke fakhar hai tum haar nahi maane

Pare dunya ke taane Kahin apne begaane

Hai emaan mera ke sab raks aik honge

Harf nahi larenge na jumlon ke wair honge

Har koi muhabbat ke geet gungunaega

Dur nahi wo waqt jab aesa dor aaega

Ke hat jaengi sarhadon se beriyan rukawatain

Ham dono hi mulkon ke log honge saath me

Eid ya Diwali, Ramzan ya ho holi

Na hogi kabhi khaali kisi bebas ki jholi

Aur jitne bhi khwaab mujhe pata sab sach honay

Milte we dekhe mene shehron ke konay

Me chotay se sheher ka gumnaam sa larka

Jo sirf apne dil ki sab batain tumse hai karta

Agar uske lafzon me tum khud ko dekh pa rahe

Phir shayad kuch bhi nahi jo is dunya me la haasil

Tu sabar rakh, chalta reh, sar rakh ooncha

Me jaanta tu dukh me tu khud se hi rootha

Khud ko manaa ke manzilain abhi bhi baaqi

Aur tu nahi hai tanha ham sab tere sathi

Ham jannat me saath bethe khud pe hasenge

Ke yunhi afsurda the bewajah ki batonnn pe

Jaanta hun mushkilain bhi ab tak hain saakin

Me jaanta ke tang kare tujhe tera baatin

Is like doobti wi kashti ko miljaega saahil

Yaqeen rakh

Sab hojaega Haasil

Еще от Sunny Khan Durrani

Смотреть всеlogo

Тебе Может Понравиться