Aansoon samjh ke kyun mujhe
Aankh se tumne gira diya
Moti kisi ke pyaar ka
Mitti mein kyun mila diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Jo na chaman mein khil saka
Main wo gareeb phool hoon
Jo na chaman mein khil saka
Main wo gareeb phool hoon
Jo kuchh bhi hoon bahaar ki
Chhoti si ek bhool hoon
Jisne khilaa ke khud mujhe
Khud hi mujhe bhula diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Aankh se tumne gira diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Nagma hoon kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Nagma hoon kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Gaaya gaya hoon jiss pe main
Toota hua wo saaz tha
Jisne suna wo hans diya
Hans ke mujhe rula diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Aankh se tumne gira diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Meri khata maaf main
Bhule se aa gaya yahaan
Meri khata maaf main
Bhule se aa gaya yahaan
Warna mujhe bhi hai khabar
Mera nahin hai ye jahaan
Doob chala tha neend mein
Achchha kiya jaga diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe
Aankh se tumne gira diya
Moti kisi ke pyaar ka
Mitti mein kyun mila diya
Aansoon samjh ke kyun mujhe