menu-iconlogo
logo

Afsanay

logo
Тексты
Afsaanay ab likhta nahi huu

Mai dunya ko dikhta nahi huu

Mat pucho mai kitna sahi huuu

Kiun ek jagah tikta nahi huuu

Basar karte hain tere dil mai

Asar hai tou shikwa kare kyun?

Zikar hota hai har mehfil mai

Woh chahtay par dikhta nahi hu

Afsaanay ab likhta nahi huu

Mai dunya ko dikhta nahi huu

Mat pucho mai kitna sahi huuu

Kiun ek jagah tikta nahi huuu

Basar karte hain tere dil mai

Asar hai tou shikwa kare kyun?

Zikar hota hai har mehfil mai

Woh chahtay par dikhta nahi hu

If i were you and you were me

I would forgive you jaise tu ho aik surang mein uske end mein tujhko roshni dikhi, thats how I see you

Khud ko meri nazar se dekh

If I were you and you were me

Mein aisa toot’ta ke toot’tay hain taaray kya

Wo aaj bhi hai muntazir mukhtasir aik mulaqaat ka, phir kabhi mil payein na

Dil doobay aur manzil lagay dur bohot

Urooj se zawaal dekhein hain noor bohot

Na tere haath mein Zindagi aur na he maut

Mere haath mein hai qalam, qallaa aur shauq

Har khof se azaad kardo meri zaat ko

Qismato se paak kardo mere haath ko

Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere

Jaise karma peechay para hai haath do

Gaanay gaye bohot, dil dukhaye bohot

Na tumhein aye sharam, na humein aye maut

Mein sane hu is minute, next minute i’m psycho

Industry karay follow brands go where i go

Ye mera flex nai hai life hai

Send my cheque mujhay baat cheet nai chahiye

I got bills, mard ke alag hotay qaiday

Agar kamatay nai mard ho tum kaahay ke

Future dikhta nai hai future is what I say

Wo saath khayein kehna parta nai wo bhai thay

I do or die for the gang

Binna likhat parhat ke kiye huye hain ye muhaeeday

Saal girah tab bhi khara tha mein mic pe

Gawah yaar, rawadaar, mere saath

Rahay sadda abaad ye awaaz

I rap for a purpose, ye career aik cause

You expect me to be perfect and i’m just full of flaws

Kaise likhta hu ye verses, kya karta hu mehsoos

Mein binna taj ka badshah got nothing to lose

I’m crossing lines just to cancel out the booze

Ab na dil se niklay arzu

Jab se dil se nikli aaj tu

Dil tha mera gosha e sakoon aik

Kyun bana gayi hai isay bazaar tu

Afsaanay ab likhta nahi huu

Mai dunya ko dikhta nahi huu

Mat pucho mai kitna sahi huuu

Kiun ek jagah tikta nahi huuu

Basar karte hain tere dil mai

Asar hai tou shikwa kare kyun?

Zikar hota hai har mehfil mai

Woh chahtay par dikhta nahi hu

Dil mai sawaal baray, biche hue jaal baray

Meri misaal chalay, chahte saaray chaal chalen

Thappar ye gaal pe, industry poori paalte rahay

Laya kitaab jo tum khol ke sirf chaapte rahay

Talway mere c**t te rahay, paisa nai, woh daat de rahay

Dekhe nai halaat mere, yaaron ne jo khuaaab dekhay

Pooray karu aaj ab is hath mai wo aag betay

Paise mai wo baat nai jo izzat meri aaj betay

Ye imtehaaan kesa, Sooraj nai par chaand dekha

Likhari jaan leva, Urdu Rap ko saaans deta

Kisse larrun jung sab waaqif hai ye Medaan mera

Rap meri jaan mai Karachi k liye jaan deraha

Ye larkay likhtay mujhe dikhtay apne bars bhai

Darta nai girnay se bas dunya se naraaz bhai

Ainay ko torden yu jorrte alfaaaz bhai

Lafz kese tolte jab bhaaari ye awaaz bhai

Dil mera saaaf, mai industry ka woh raaz bhai

Darte mujhse aaj bhi, shaheen ata baaz nai

Bhai full pachaas, Talha jaanay khola hath nahi

Kaghaz ko mai aag du, pichwaray inke rakh bhai

Sarr apna nochrahay hum sote we bhi soch rahay

Khuaabon mai bhi apno k khushi k ansu poch rahay

I ain’t a role model, aaj bhi on the road ay

Underground ko laya mainstream walay shows mai

Deal hoti close uthte sath mujhe hosh naii

Industry mere lun pe par nai wo meri dost nai

Rozi roti likhi ooper walay ne, afsos nai

Darrte nai hum maut se , musaafir martay roz bhai

I ask God, why you made fear?

Sab rona chahtay but we hate tears

I’m never sober but I stay clear

Samajh se baahir mai jese shakesepeare

Arsay se khayi nai roti maa ki hath ki

Taaron ko naam duuu tu dekh meri saadgi

Dushman ko bhi kaam duu, kese hogi barabarii

Log meri mehnat ka phal khana chahte aaj bhi

Ye baaten nahi kaghazi, mai khud ko deta daat bhai

Sach se dunya bhaagti, aur mai sirf sach ke sath bhai

Highest in the room mujh tak pohanchengay kia khaak bhai

Har gaanay ki mai dhun , sirf beaton se karta baat ayy!

Afsaanay ab likhta nahi huu

Mai dunya ko dikhta nahi huu

Mat pucho mai kitna sahi huuu

Kiun ek jagah tikta nahi huuu

Basar karte hain tere dil mai

Asar hai tou shikwa kare kyun?

Zikar hota hai har mehfil mai

Woh chahtay par dikhta nahi hu

Afsanay от Talha Anjum - Тексты & Каверы