Yaara, mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayaal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Kehta hai tujhko "haseen" aaina
Tujhme hi rehta hai leen aaina
Bolo isey, mujhko jalaya na kare
Lena maine tujhse ye chheen aaina
Mujhse hi sun le taareef apni
Shaadi waali milti lakeer apni
Teri-meri duniya basegi jismein
Aane waali jaldi tareekh apni
Ho, ho, tu to mere surmey jaisa
Ho, ho, tu to mere sapne jaisa
Ankhiyon mein rakhna hai sabse chhupa ke tujhko
Chupke se marzi se chaahungi tujhko
Yaara, mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayaal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Dilon ki ameeri mein gareeb koi na
Aashiqon se badh ke ajeeb koi na
Aankhein milein jab tab jaan pe baney
Ishqey se oonchi to saleeb koi na
Chura le mujhe ab, sajana, tu saara
Jawaani tere naam kar di maine, yaara
Laga ke tujhe honth se apne dekhoon
Kahan se tu meetha, kahan se tu khaara
Paaniyon mein behte chiraag jaisi tu
Mehke gulaabon ke hai baag jaisi tu
Thandi hoti ankhiyaan tujhe dekh ke
Chhooney se to lagti hai aag jaisi tu
Yaara, mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayaal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Tera-mera ek jaisa haal ho gaya
Dooriyon mein rahna mohaal ho gaya
Leke aaja jaldi baraat, maahiya
Rang meri mehandi ka laal ho gaya
Ho, ho, tu to mere surmey jaisa
Ho, ho, tu to mere sapne jaisa
Ankhiyon mein rakhna hai sabse chhupa ke tujhko
Chupke se marzi se chaahungi tujhko
Yaara, mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayaal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na
Ho-ho, main tere pe mar gayi, sajna re
Tu samjha na
Ishq se main bhar gayi, sajna re
Tu samjha na
Tere aage-peechhe ghoomti phiroon
Piye bina hi main jhoomti phiroon
Tere saaye ko bhi choomti phiroon
Meri jaan mujhpe nisaar, sajna
Yaara, mere dil ke kareeb koi na
Tere siva apna naseeb koi na
Sang tere rehna khayaal banke
Aati mujhe duji tarqeeb koi na