Meri baat chale sidhi kabhi ruke na ruke na
Kabhi jhuke na jhukega mera sarr
Mera kal mera aaj mera kaam kaaj
Badla lunga sabhka jaise nawaz
Mere flow ki ye aag kaafi bhayankarr
Gale pe saanp tu toh main bhi toh shankarr
Pathhar lakeer mere tere toh kankarr
Tu baitha hai gharpe hum culture ke jung parr
Asangatt tu rehke ye baatein yeh maan
Brahm mein hai kaise jeete pure ye brahmand
Hum hue meherbaan abh toh mile kadardaan
Humein jaan humein jaan humein jaan
Ye system rasayaan mein ghusse mein saiyan
Mein kurla se sion
Toh local mein shayar mein
Flow jaise nile hai
Kiya annihilate
Shabd khatarnak maine kiya tujhe ghaayal hai
Zamana purana maano toh ye bhi mayaan hai
Te beta ravan toh ye bhi ramayaan hai
Ghatak kathak hile ye bhi payal hai
Number toh dial
Aaja tu cypher pe
Message unclear toh karrle d-cypher re
Tu karrle d-cypher re
Tu karrle d-cypher re
Kathin rasta lambaa sa fasla
Saral ka kya maza main toh karta hu struggle ka saamna
Samay kharabh tha zinda sa laash tha
Apno ka saath ha toh dum hai awaaj ka
Raaton ko jaagta ujale mein soota
Madhur sapno ko main din bharr mein khojta
Fattfatt se dharta main jhattpatt se ladhta
Chunauti rassi hai ya dhagge sa chota
Kaise maine kiya apna kaam
Jaise bhula mushkilo ko hua dil chahta farmaan
Waise diya paane ko anjaam
Jaise mila fal meetha khaane ko mehnatt ke naam
Mehnatt se na milta vo paisa kya kaam ka
Khaane ko fokat jo dushmann anaj ka
Samay aane parr jo shamat ko talta
Darr darr ke jeena ye g**a kya kaam ka
Jo bhi main bakkta vo aazma ke bakta hu
Fokat pateli na thokar mein khaaya hu
Saubatt na milti akele chal padhta hu
Naubatt na aati apne sansaar mein rehta hu
Sochta hu duniya kyun hustle karaye
Sapne mein aata vo sach mein na aaye
Badle mein milta rupaiya hai bhai
Wata ye baatein chal hip hop machaye
Sunn
Baitha phone mein ungliya meri zone mein
Ye shabdo ka khel parr dimagg mera hold pe
Fuck this bajana mujhe dhol hai
Toh flow ke peeche chup ke baithoon
Katke marte khud ke ghaav hum bharte
Honedo charche hasslo iss jigar pe
Teer kamaan chalata main nazar se
Ha bin dekhe ched aise karte
Visfot kare chote
Mere, mere bill nahi hai mote
Bas, bas khawab mere khote
Aaj dekho mujhe mere maile haath dhote
Mere saath sote khwaab ke parde band raat hoke
Raakh hote mere saarein darr saanpo se
Jaancho be, iss bimaari ke ilaaj hote
Laakhon mein log paagal bann jaa chuke
Ha main pagal hu
Aa sambhal mujhe
Naa iss kabil hu
Ye bawaal uthe
Thoda shatir hu
Na nakaar mujhe
Karr sakta sabh hasil hu
Kyun? nahi lagta?
Prayog karta aise shabdo ka
Bhari padhte matthe pe ye jaadu hai yeh lafzo ka
Kaap uthe murde saarein samchaar ye kabro ka
Kartoos main bhi daalu saari tu de mauka
Aye
Ye mera flow laade tum jaiso ko hosh mein
Kalam se pyaar mera siyaahi sarfarosh hai
Hip hop se naata mera main bhi iske aaghosh mein
Baaton mein nasha aisa saare madhosh re
Farzi ke pran leta asli ko samman deta
Chita jalake inki raakh ko phook leta
Mudde pe mudda laati baaton ko main jaan deta
Ghinoni harkatein hai meri mujhe bolo neta
Kitna lapeta maine logo ko aakarshan
Kitna sammeta meri thaali mein harr vyanjann
Ha main bhi khaata jaise bhooka koi pisachar
Mujhko chadata ye logo ka apnapan
Pehela kadam rakha industry mein
Chota sa main ladka baatein karu bhaari bars ki main
Laazmi ye baatein meri aadat se baaz nahi
Main chadd raha hu upar phir bhi sabhki kyun narazgi hai
Aye
Nazarandaaz ki ye galiyon mein swaad nahi hai
Kachra hip hop mein kyun meri baatein jayaz nahi hai
Biased sa lagta mujhe khel hi saara
Jaise main chota sa ek pyada isilye meri koi awaaj nahi hai
Todi zanjeere siyaahi bana ek misaal nayi hai
Bawra bana ye rappers sunke bhaag liye
Dahaad aisi bagaad billon ko chetawni hai
Kaabu jasbaaton parr aur seene mein ek sansani hai
Ansuni hai ankahi hai baatein jaise sansani hai
Khalbali ne halchal di ki siyaahi ki ek alag ghadi hai
Haters ki baatein saare matthe mere chadd gayi hai
Spit karein siyaahi dekho laashein bhi aaj kaap uthi hai