Gaye thy hasty hasty
Pehan ker apne basty
Ab tak wapis nai aye
Kiya bhool gaye ghar ke rasty
Subha to buhat khush thy
Kiya ab naraz ho maa se
School hi chora tha na
Jane kahan chaly gaye wahan se
Uth rahy hon ge maa baap ke dil aj ye sawal
Is maa ke laal ka uniform
ho gaya laal
Aik hi baat ki duhai
Ke ye nahi siyai
Jism ke dard se jab choti choti ankhein bhar ayi
Har taraf cheekh pukar
Lekin nai koi andaza
Ye shairi zayafat nahi
Isko samjho takaza, takaza
Ke kal
tumhare bhi bache hon ge
Ye nai bach sakty, kiya zamanat wo bach sakein gy?
Hamary mein to
itni bhi ghairat nahi
Fajar tak jagty hain per zara sa bhi Khuda ka zikar nahi
Woh sab kuch de kar wapis
lena bhi janta hai
Phir bhi tu khud ko jannat ka thekedaar manta hai
Naraaz na hona ham se
Ham hain tumhare dam se
Tum se hi to hai ye jahan....
Koi bata mujh ko,
sahi bata de mujhko
Aakhir ye jannat hai kahaan...?
let start 2.10
Ammi Meine kaha tha na
aaj mujhe school nai jana
Dekhein aj in logon ne mujhe kitna zayda maara
Shaheed ka kia matlab hai
sab kehty hain ke mein woh hon
Ap ro rahi hain meri aankhein band hain kaise ro'on
Sab kehty hain shaheed hona achi baat hoti hai
To phir ap pori raat zar-o-kitaar kyun rooti hain?
Mein bhaaga jab darr kar to mujh pe golian chalai
Mein buhat cheekha kia apko awaaz nai ayi?
Meri teacher ko jalaya,
woh jaga se nai hili
Aur kuch nazar nai aya, chupne ki jaga nai mili
Ap kehti thin Kalma parho to khush hoty hain Allah Jee
Mein ne Kalma parha unhon ne goli chala di
Mein buhat pyasa tha kaash thora paani mil jata
Patti bhi kar leta agr doctor ban jata
Woh mujhe maar ke khush thy matlab mein bura tha
Seene mein goli lagi buhat zoor se gira tha, buhat khoon baha Ammi
kapre bhi gande ho gaye,
Ap hans kar kahein na ke tum apne kapre khud dho ge
Jaise ap kehti thi jab bahir khelne jata tha
Mujhe pata hai mein apko buhat stata tha
Baba ap ro ku rahy hain wo bhi aj pehli baar
Ap to kehty thy rona hai buhat buri baat
Ammi maaf kijiye ga mein Khuda Hafiz nai keh saka
Apki khidmat karne k liye zinda na reh saka
Mein aasman mein taara ban kar Apko dekha karon ga
Acha ban kar rahon ga, kisi se nai laron ga
I love you Maa aur apki buhat yaad aye gi
Lekin Maa
kiya ap mujh se milne nai ayen gi?
Bas thori deir ke liye,
warna mein buhat darron ga
Bas apko dekhon ga aur zoor se hug karon ga
Ammi apto mujhe saari baatein btati thi
Kyun nai bataya school ke rasty mein jannat aati thi
Naraaz na hona hum se
Hum hain tumhare dam se
Tum se hi to hai ye jahan
Koi bata de mujhko
Sahi bata de mujhko
Aakhir ye jannat hai kahaan........ :(