Na jane kyu tera milkar bichadna yaad aata hai 

Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 

Mai aksar dekh kar shaano ko apne rone lagta hu 

Muje jab pyar se sar tera rakhna yaad aata hai.. 
Muje jab pyar se sar tera rakhna yaad aata hai.. 
Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 
Kadam gairo ke uthte dekhta hu jab mohabbat me 

Wo nange paav tera haske aana yaad aata hai.. 
Wo nange paav tera haske aana yaad aata hai.. 
Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 
Koi jab muskurata hai to dil pe chot lagti hai 

Wo aachal me tera jab muskurana yaad aata hai.. 
Wo aachal me tera jab muskurana yaad aata hai.. 
Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 
Nahi bhula hu mai ab tak tujhe O bhulne wale... 

Bta tujko bhi kya mere fasana yaad aata hai.. 
Bta tujko bhi kya mere fasana yaad aata hai.. 
Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 
Teri tasveer ko bas dekhte hi bewafa mujko 

Muje wo pyar ka mausam suhana yaad aata hai.. 
Muje wo pyar ka mausam suhana yaad aata hai.. 
Mai ro padta hu jab gujra zamana yaad aata hai.. 
Na karna gam meri barbadiyo ka bhul kar " ishrat " 

Muje ab bhi teri kasmo ka khana yaad aata hai... 