Lafz kitne hi mere
Pairon se lipte honge
Maine jab aakhiri khat
Tera jalaya hoga
Maine jab phool
Kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi mujhe
Yaad to aaya hoga
Meri aankhon ke dariya
Ka utarna kiu zaroori tha
Mohabbat kiu zaroori thi
Bichadna kiu zaroori tha
Zuroori tha ki hum dono
Tawaaf- e- aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka
Bikharna kiu zaroori tha
Meri aankhon ke dariya
Ka utarna kiu zaroori tha
Bataao yaad hai mujhko
Wo jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Wo jab kehte the
Mera naam tum tasbih
Mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
Qara karne se darte ho
Magar ab yaad aati hai
Wo baatein thi mehaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna kiu zaroori tha
Meri aankhon ke dariya ka
Utarna kiu zaroori tha
Wahi hai sooratein apni
Wahi main hoon wahi kiu hu
Magar khoyi hui hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi
Jo kaafir thi kiu kaafir ho
Mili hain manzilein phir bhi
Na kafir ho musaafir ho
Mere dil ke nikaale gum
Kahaan bhatke kahaan pahunche
Magar bhatke to yaad aaya
Bhatakna kiu zaroori tha
Meri aankhon ke dariya
Ka utarna kiu zaroori tha
Mohabbat kiu zaroori thi
Bichadna kiu zaroori tha
Zuroori tha ki hum dono
Tawaaf- e- aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka
Bikharna kiu zaroori tha
Meri aankhon ke dariya
Ka utarna kiu zaroori tha