Aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi
Naam niklega tera hi lab se
Jaan jab is dil-e-nadan mein se rukhsat hogi
Mere mehboob qayamat hogi
Aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi
Teri gali main aata sanam
Nagma wafa ka gaata Sanam
Tujhse suna na jaata Sanam
Phir aaj idhar aaya hoon magar
Yeh kehne main deewana
Khatm bas aaj yeh vaihshat hogi
Aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi
Meri tarah tu aanhe bhare
Tu bhi kisi se pyar kare
Aur rahe wo tujhse pare
Tune o sanam
Dhaye hain sitam
Toh yeh tu bhool na jana
Ki na tujhpe bhi inayat hogi
Aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi
Meri nazarein toh gila karti hain
Tere dil ko bhi sanam tujhse shikayat hogi