Tere husn ki, kya taarif karun
Kuchh kahte hue bhi, darta hun
Kahin bhul se tu na samajh baithe
Ke main tujhse, mohabbat karta hun
Tere husn ki kya taarif karun
Tere husn ki
Tere husn ki kya taarif karun
Kuchh kahte hue bhi darta hun
Kahin bhul se tu na samajh baithe
Ke main tujhse mohabbat karata hun
Mere dil me kasak si hoti hai
Mere dil me
Mere dil me kasak si hoti hai
Tere raah se jab main guzarti hun
Is baat se ye na samajh lena
Ke main tujhse mohabbat karti hun
Teri baat me geeton ki sargam
Teri chaal me payal ki chham chham
Teri baat me geeton ki sargam
Teri chaal me payal ki chham chham
Koi dekh le tujhko ek nazar
Koi dekh le, tujhko ek nazar
Mar jaay teri aankhon kasam
Main bhi hun ajab ek diwana
Marta hun na aaheen bharta hun
Kahin bhul se tu na samajh baithe
Ke main tujhse mohabbat karta hun
Aa aa aa aa
Mere saamne jab tu aata hai
Ji dhak se mera ho jaata hai
Mere saamne jab tu aata hai
Ji dhak se mera ho jaata hai
Leti hai tamanna angdaayi
Leti hai tamanna angdaayi
Dil jaane kahan kho jaata hai
Mehsus ye hota hai mujhko
Jaise main tera dam bharti hun
Is baat se ye na samajh lena
Ke main tujhse mohabbat karti hun
Tere husn ki kya taarif karun
Kuchh kahate hue bhi darta hun
Kahin bhul se tu na samajh baithe
Ke main tujhse mohabbat karta hun