Nafarat ki laathi todo
Laalach ka khanjar phenko
Zidd ke peechhe mat daudo
Tum prem ke panchhi ho
Desh premiyon
Desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Nafarat ki laathi todo
Laalach ka khanjar phenko
Zidd ke peechhe mat daudo
Tum prem ke panchhi ho
Desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Dekho ye dharti
Hum sab ki maata hai
Socho aapas mein
Kya apna naata hai
Hum aapas mein lad baithe to
Desh ko kaun sambhaalega
Koi baahar waala
Apne ghar se hamein nikaalega
Deewanon hosh karo
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Meethe paani mein
Ye zehar na tum gholo
Jab bhi kuchh bolo
Ye soch ke tum bolo
Bhar jaata hai gahara ghaav
Jo banata hai goli se
Par vo ghaav nahi bharta
Jo bana ho kadvi goli se
To meethe bol kaho
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Todo deewaarein ye chaar dishaaon ki
Roko mat raahein in mast hawaaon ki
Poorab pashchhim uttar dakkhan
Waalon mera matlab hai
Is maati se poochho kya bhaasha
Kya iska mazhab hai
Phir mujhse baat karo
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon
Mere desh premiyon
Aapas mein prem karo desh premiyon