kabhi kabhi mere dil mein khyaal aathaa hai

ke jaise tujh ko banaaya gaya hai mere liye

too ab se pehle sitaron mein bas rahi thi kahi

tuje jameen pe bulaayaa gaya hai mere liye
tuje jameen pe bulaayaa gaya hai mere liye
kabhi kabhi mere dil mein khyaal aathaa hai
ke ye badan ye nigahen meri amaanat hain

ye gesuon kee ghani chaanv hain meri khatir
ye hont or ye bahen meri amaanat hai
ye hont or ye bahen meri amaanat hai
kabhi kabhi mere dil mein khyaal aathaa hai
ke jaise bajati hain shehnaiyaan see raahoon mein

suhaag raat hai ghunghat uthaa raha hoon main

simat rahi hai too sharmaa ke apni bahon mein
simat rahi hai too sharmaa ke apni bahon mein
kabhi kabhi mere dil mein khyaal aathaa hai
ke jaise too muje chaahegi umrbhar yoohee
uthegi meri tharaf pyaar kee najar yun hee
main jaanata hoon ke too gaiyr hai magar yun hee