aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq na chhed aa aa ke humen
hum bhule huon ko yaad na kar
pehle hi bahot naashad hain hum
tu aur humen naashad na kar
kismat ka sitam hi kam nahin kuchh
ye taaza sitam izaad na kar
yun zulm na kar
bezaar na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
raaton ko uth uth kar rote hain
ro ro ke duwaen karte hain
aankhon mein tasavvur
dil mein khalish
sur ghoomte hain aahen bharte hain
aye ishq ye kaisa rog laga
jeete hain na zaalim marte hain
inn khaabon se yun
aazaad na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
jiss din se bandha hai dhyan tera
ghabraaye huye se rehte hain
har waqt tasavvur kar kar ke
sharmaye huye se rehte hain
kumhlaaye huye phoolon ki tarah
kumhlaaye huye se rehte hain
raunal na kar bedaad na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq humen
barbaad na kar
barbaad na kar