aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq na chheda aa aa ke hume
hum bhule huon ko yaad na kar
pehle hi bahut naashad hain hum
tu aur hume naashad na kar
kismat ka sitam hi kam nahin kuch
ye taaza sitam izaad na kar
yun zulm na kar
bezaar na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
Gem of Ghazals
raaaton ko uth uth kar rote hain
ro ro ke duwaein karte hain
aankhon mein tasavur
dil mein khalish
sar dhundhte hain
aahein bharte hain
aye ishq ye kaisa rog laga
jeete hain na zaalim marte hain
in khwaboon se yun
aazaad na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
jis din se bandha hai dhyan tera
ghabraaye hue se rehte hain
har waqt tasavurr kar kar ke
sharmaye huye se rehte hain
kumhlaaye huye phoolon ki tarah
kumhlaaye huye se rehte hain
pamaal na kar bedaad na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar
aye ishq hume
barbaad na kar
barbaad na kar