aaaaaa aaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaa
hmmmmmmm hmmmhhhhmmmmmmmm
kitaabon mein basi khushbu ki maanind
saans saakin thi
bohut se, unkahe lafzon se,
tasveeren, banaatay thay
kabhi hum khubsurat thay
aaaaaa aaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaa
hmmmmmmm hmmmhhhhmmmmmmmm
kabhi hum khubsurat thay
kabhi hum khubsurat thay
kitaabon mein basi khushbu ki maanind
saans saakin thi
bohut se, unkahe lafzon se,
tasveeren, banaatay thay
Parindon ke paron par, nazm likh kar
door ki, jheelon main
basnay waalay logon ko,
sunate thay
jo hum sai door thay laikin
humaray, paas, rehtay, thay
Naye din ki musafat jab kiran ke saath
aangan main utarti thi
to hum kehtay thay
(ammi titlion ke par
buhot hi khubsurat hain)
humain maathay pai bosa do
ke hum ko, titliyon ke,
jugnuon ke des jaana hai
humain rangon ke jugnu
roshni ki titliyan awaaz daiti hain..
naye din ki musafat rang main
doobi hawa ke saath
khirki sai bulaati hai..
humain maathay pai bosa do 3