Zindagi hai dhuan to kya
Bujh gayi har subah to kya
Rootha mujhse khuda to kya
Ho gaye hum juda to kya
Faasle the hazaaron darmiyan
Waqt ke the hazaaron imtehan
Phir bhi ban ke nishan
Tere hothon ke
kisi kone mein
Hasi ki tarah
main mehfuz hoon
Teri aankhon ke
chhipe Dard mein
aansu ki tarah
Main mehfuz hoon
mehfuz hoon.....
Bewajah har wajah to kya
Begunahi hai gunah to kya
Beasar hai dua to kya
Ho gaye hum juda to kya
Raaz gehre hazaaron Bepanah
lafz thehre hazaaron Bezubaan
phir bhi ban ke nishan
Tere honthe ke
kisi kone mein
Hasi ki tarah main mehfuz hoon
Tere gesu ke
mude pannon pe
Yaadon ki tarah
Mehfuz hoon teri aankhon mein
Mehfuz hoon teri yaadon mein
Mehfuz hoon teri baaton mein
Mehfuz hoon tere baalon mein
Faasle the hazaaron darmiyaan
Waqt ki thi hazaaron aandhiyan
Phir bhi ban ke nishan
Tere hothon ke
kisi kone mein
Hasi ke tarah main mehfuz hoon
Tere kaandhe ke
chhipe til mein
Vaadon ki tarah mehfuz hoon
Tere hothon ke
kisi kone mein
Hasi ki tarah main mehfuz hoon
Teri aankhon ke
chhipe dard mein
Aansu ki tarah..........