Tumhare sheher ka mausam bada suhana lage
Main ek shaam chura loon agar bura na lage
Tumhare bas mein agar ho to bhool jao humein
Tumhe bhulane mein shayad mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage
Maana meri hee khata hai iss dafa
Kal hum pe jo fida tha, ab khafa
Yoon hee na berukhi, rag yoon hee na dukhi
Dard seene mein uth raha hai baaraha
Tu iss tarah se mere saath bewafayi kar
Tu iss tarah se mеre saath bewafayi kar
Ki terе baad mujhe koi bewafa na lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage