Badi raunak hogi bhagwan ke darbar mei 
Ek farishta phucha hai jameen se assaman mein 
Lagta hai swarag satta ke sukhad sujhao ke liye 
Bhagwan ne jan jan ke dulare, aur hum sab ke pyare 
Kal jai atal ji ko apne pas bulaya hoga... 
Usi upar wale se hatt jod kar Sanjay ki tarf se ek anurodh hai....... 
Bin atal hindustan 
Tan jaise bina jaan 
Bin atal hindustan 
Tan jaise bina jaan 
Na subah hoti na hoti shaaaaam 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam... 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam... 
Jaan jan kal be kal hai 
Na koi halchal hai... 
Aj bharat maa ka suna ye anchal hai... 
(Maut ki umar kya hai 
Do pal bhi nhi 
Maut ki umar kya hai 
Do pal bhi nhi 
Laout ke aunga kunch se kyo daru) 
------******------ 
Jaan jan kal be kal hai 
Na koi halchal hai... 
Aj bharat maa ka suna ye anchal hai... 
Lal desh ka mahan, 
Saraswati ki juban 
abhi janani ka baki hai kaam 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam... 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam... 
-----*********------ 
Thak kar soya hai, 
Lal mera komal hai 
Juban mei jai hind hai, 
Hanth me kamal hai 
{Jhujhne ka mera irada na tha 
Mod par milenge iska wada na tha 
Rasta rok kar waqt khadi ho gyi 
yu laga maut zindgi se badi ho gyi} 
Thak kar soya hai, 
Lal mera komal hai 
Juban mei jai hind hai, 
Hanth me kamal hai 
Aaj chum ke charan 
Kahe ghunghru pawan 
Man matal bhi karta salam 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam... 
Kuchh din rakh kar apne dham mein 
Lauta dena aye mere raam...