Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar
Mulaaqaat Ka Mauqa De De
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Meri manzil Hai Kahan
Mera thikana Hai Kahan
Meri manzil Hai Kahan
Mera thikana Hai Kahan
Shubho tak tujhse bichad Kar
Mujhe jaana hai kahan
Sochne Ke liye
Ek Raat Ka Mauka Dede
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Apani Ankhon Mein Chhupa
Rakhein Hain Jugnu Maine
Apani Ankhon Mein Chhupa
Rakhein Hain Jugnu Maine
Apani Palakon Pe Saja
Rakhe Hain Ansu Main Ne
Meri Ankhon Ko Bhi
Barasaat Ka Mauqa De De
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Aaj ki Raat Mera
Dard E Mohabbat sun Le
Aaj ki Raat Mera
Dard E Mohabbat sun Le
Kap kapate Hue Hothon Ki
Shikayat sun Le
Aaj Izhare Khayalat Ka Mauka Dede
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Bhulana Tha To Ye
Iqaraar Kiya Hi Kyun Tha
Bhulana Tha To Ye
Iqaraar Kiya Hi Kyun Tha
Bewafa Tune Mujhe
Pyaar Kiya Hi Kyun Tha
Sirf Do Chaar
Savaalaat Ka Mauqa De De
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar
Mulaaqaat Ka Mauqa De De
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain,
Musaafir Ki Tarah