Heheee...aaaaa Hohohooo
Ahaha....hahaa Hohohooo
taaron ka chamakta gehna ho
taaron ka chamakta gehna ho
phoolon ki mehakti waadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho
taaron ka chamakta gehna ho
phoolon ki mehakti waadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho
ye phool tumhare zever hain
ye chaand tumhara aaina
tum jab aise sharmati ho
doolhe ka dhrakta hai seena
har aaina tum ko dekhe
tum to aisi shehzadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho
meri behna hai phool baharon ka
meri behna hai noor nazaron ka
meri behna ke jesi koi behna nahi
bina is ke kahin bhi mujhe rehna nahi
jese hai chaand sitaron main
meri behna hai aik hazaron main
hum jese bhole bhaalon ki
ye dunya to hai dil walon ki
ye dunya hai dil walon ki
ye dunya hai dil walon ki
taaron ka chamakta gehna ho
phoolon ki mehakti waadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho
khushyon ke mehlon main betho
koi gam na tumhare paas aaye
na umr ka pehra ho tum pe
mere dil ki dua ye rang laaye
rab hansta huwa rakhe tum ko
tum to hansne ki aadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho
taaron ka chamakta gehna ho
phoolon ki mehakti waadi ho
us ghar main khushhaali aaye
jis ghar main tumhari shadi ho