Khafa khafa si har khushi
Mili hai har dafa
Zara zara si baat pe ye roothi har dafa
Naa jaane khwahishon
mein kyun malaal sa raha
Manaaya zindagi ko
humne yun toh har dafa
Naa jaane kaisa ye raasta hai
Naa jaane kaisa kaarwaan
Naa hum zubaan hai
Naa humnawa hai
Naa jaane kaisa hai makaan..
Na jaane kaisa ye raasta hai
Na jaane kaisa kaarwaan
Na hum zubaan hai
Na humnawa hai
Na jaane kaisa hai makaan
Na chand aaya haathon mein apne
Na hi savera mila
Kyun roshni ki inn bastoyon mein
Itna andhera milaa
Woh khwab hai ya zidd hai humaari
Koi samajh na sake
Apne hi haathon haara hua
sa har aadmi hai mila
Na jaane kaisa ye raasta hai
Na jaane kaisa kaarwaan
Na hum zubaan hai
Na humnawa hai
Na jaane kaisa hai makaan
Na jaane kaisa ye raasta hai
Na jaane kaisa kaarwaan
Na hum zubaan hai
Na humnawa hai
Na jaane kaisa hai makaan
Khafa khafa si har khushi
Mili hai har dafa
Zara zara si baat pe ye roothi har dafa
Naa jaane khwahishon
mein kyun malaal sa raha
Manaaya zindagi ko
humne yun toh har dafa