menu-iconlogo
huatong
huatong
Şarkı Sözleri
Kayıtlar
Khamoshiyan aawaaz hain

Tum sun’ne to aao kabhi

Chhukar tumhe khill jaayengi

Ghar inko bulaao kabhi

Beqarar hain baat karne ko

Kehne do inko zaraa ..

Khamoshiyan..

Teri meri khamoshiyan

Khamoshiyan..

Lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein

Kabhi tera jaana hua

Jahaan se zamaane

Ko guzre zamaana hua

Mera samay toh

Wahin pe hai thehra hua

Bataaun tumhe kya

Mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai

Tum dhun koi laao zaraa

Khamoshiyan alfaaz hain

Kabhi aa gunguna le zara

Beqarar hain baat karne ko

Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan..

Teri meri khamoshiyan

Khamoshiyan..

Lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani

Bhi khamosh behta yahaan

Khili chandani mein

Chhipi lakh khamoshiyan

Baarish ki boondon

Ki hoti kahaan hai zubaan

Sulagte dilon mein

Hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakaash hai

Tum udne toh aao zara

Khamoshiyan ehsaas hai

Tumhe mehsoos hoti hai kya

Beqarar hain baat karne ko

Kehne do inko zara.. haa..

Khamoshiyan..

Teri meri khamoshiyan

Khamoshiyan..

Lipti hui khamoshiyan

Khamosiyan..

Teri meri Khamosiyan

Khamosiyan..

Lipzi hui Khamosiyan..

Arijit Singh/Palak Muchhal'dan Daha Fazlası

Tümünü Görlogo

Beğenebilirsin