Insaaf ki dagar pe
Bachchon dikhao chal ke
Ye desh hai tumhaara
Neta tum hi ho kal ke
Duniyaa ke ranj sehna
Aur kuchh na munh se kehna
Sachaaiyon ke bal pe
Aage ko bhadte rehna
Rakh doge ek din tum
Sansaar ko badal ke
Apne ho yaa paraaye
Sabke liye ho nyaay
Dekho kadam tumhaara
Hargiz na dagmaagaye
Raste bade kathin hai
Chalna sambhal sambhal ke
Aaaa aaaa aaaa
Aaaa aaaa aaaa
Aaaa aaaa aaaaaa
Insaaniyat ke sar pe
Izzat ka taaj rakhna
Tann mann ki bhenth de kar
Bharat ki laaj rakhna
Jeevan naya milega
Antim cheeta mein jal ke
Insaaf ki dagar pe
Bachchon dikhao chal ke
Ye desh hai tumhaara
Neta tum hi ho kal ke