Hey hey ...
Rote hue aate hain sab
Rote hue aate hain sab
Hansta hua jo jaayega
Woh muqaddar ka Sikandar
Wo muqaddar ka Sikandar
Jaan e man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hansta hua jo jaayega
Wo Sikandar kya tha jisne
Zulm se jeeta jahaan
Wo Sikandar kya tha jisne
Zulm se jeeta jahaan
Pyaar se jeete dilon ko
Wo jhuka de aasman
Jo sitaron, par kahani
Pyaar ki, likh jaayega
Wo muqaddar ka Sikandar
Wo muqaddar ka Sikandar
Jaan e man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hansta hua jo jaayega
Zindagi to bewafa hai
Ek din thukrayegi
Zindagi to bewafa hai
Ek din thukrayegi
Maut mehbooba hai apne
Saath lekar jaayegi
Mar ke jeene ki adaa jo
Duniya ko sikhlaayega
Wo muqaddar ka Sikandar
Wo muqaddar ka Sikandar
Jaan e man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hansta hua jo jaayega
Hamne mana yeh zamanaa
Dard ki jaageer hai
Hamne mana yeh zamanaa
Dard ki jaageer hai
Har kadam pe aansuon ki
Ek nayi zanjeer hai
Haal e gham par jo khushi ke
Geet gata jaayega
Wo muqaddar ka Sikandar
Wo muqaddar ka Sikandar
Jaan e man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hansta hua jo jaayega
Wo muqaddar ka Sikandar
Wo muqaddar ka Sikandar
Jaan e man kehlayega
Jaan e man kehlayega
Jaan e man kehlayega