Itne aansoo, itne gham laata hai
Phir kyun saavan ka mausam aata hai?
Phir koshishen usey bhoolne ki ho rahi barbaad hain
Barsaat hai, barsaat hai, barsaat hai, barsaat hai
Unki humein yaad aa rahi har baat hai, barsaat hai
Utare huye hain dil se hum, tode gaye hain sanwaar ke
Har ek aashiq ki tarah humko bhi maara hai pyaar ne
Inn aankhon mein na neend hai, na baaqi raha koi khwaab hai
Na ab kisi ki pyaas hai, na ajab koi ehsaas hai
Toh aaj phir dar pe mere yoon ho rahi din-raat hai
Barsaat hai, barsaat hai, barsaat hai, barsaat hai
Unki humein yaad aa rahi har baat hai, barsaat hai