menu-iconlogo
logo

Tumhe Apna Saathi Banane

logo
Şarkı Sözleri
Hazaron aandhiyaan aayein

Hazaron bijliyaan chamke

Kabhi sathi ko tanha

Raah mein chhoda nahi karte

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Mohabbat ki duniya basaane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Kahan se main laaoonga resham ki saari

Yeh bangla, yeh motar nahi le sakoonga

Mera dil hi bas ek meri milkiyat hai

Jo chaho to bas main yehi de sakoonga

Magar dil ki dhadkan sunaane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Yeh rangeeniyaan rahatein zindagi ki

Yeh rangeeniyaan rahatein zindagi ki

Bahut kuchh tumhein hans ke khona padega

Kabhi meri gurbat ne aansoo diye to

Tumhein bhi mere sath rona padega

Magar sath tumko rulaane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Main darta hoon us din ki ruswaaiyon se

Main darta hoon us din ki ruswaaiyon se

Kahin pyar pe apne duniya hanse na

Mohabbat ka ho naam badnaam humse

Zamana kahin hum pe taane kase na

Sitaaron ki mehfil sajane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Tumhein apna sathi banane se pehle

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Meri jaan mujhko bohat sochna hai

Mohabbat jinhein ho gayi ho kisi se

Mohabbat jinhein ho gayi ho kisi se

Mohabbat ka anjaam kab sochte hain

Yeh aisa suhana safar hai ke jismein

Hazaaron hain nakaam kab sochte hain

Charag-e-wafa apne hathon mein lekar

Mohabbat ki raahon mein jo chal pade hain

Bayaanbaan mein hogi ke sehra mein hogi

Kahan hogi ab shaam kab sochte hain

Kahan hogi ab shaam kab sochte hain

Mohabbat ke maaron ko ab aur aye dil

Sataayengi kya sakhtiyaan zindagi ki

Jinhein thak ke neend aa gayi pattharon par

Woh duniya ka aaram kab sochte hain

Yeh insaan kya hai, khuda ke bhi aage

Kabhi pyaar duniya mein jhukta nahin hai

Pyaar jhukta nahin hai

Mohabbat hi jinka khuda ban chiki ho

Kisi aur ka naam kab sochte hain

Mohabbat jinhein ho gayi ho kisi se

Mohabbat ka anjaam kab sochte hain

Mithun Chakraborty, Tumhe Apna Saathi Banane - Sözleri ve Coverları