Khuda bhi jab tumhe
Mere paas dekhta hoga
Khuda bhi jab tumhe
Mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez
De di kaise, sochta hoga!
Tu be misaal hai,
Teri kya misaal doon
Aasmaan se aayi hai,
Yehi keh ke taal doon
Phir bhi koi jo pooche,
Kya hai tu kaisi hai
Hathon me rang leke,
Hawaa me uchaal doon
(Hawaa mein uchhal doon..)
Khuda bhi jab tumhe
Mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez
De di kaise, sochta hoga!
Interlude
Jo bhi zameen tere
Paaon tale aaye
Kadmon se chooke woh
Aasmaan ho jaaye
Tere aage pheeke pheeke
Saare shringar hai
Main toh kya farishte bhi
Tujhpe nissar hain
Garmi ki shaam hai tu,
Jaadon ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hain,
Tere karzdaar hain
(Tere karzdaar hain..)
Khuda bhi jab tere
Andaaz dekhta hoga
Itni anmol cheej
De di kaise, sochta hoga!
Interlude
Chehra hai ya jaadu,
Roop hai ya khwab hai
Aankhein hain ya afsaana,
Jism ya kitaab hai
Aaja tujhe main padh loon,
Dil mein utaar loon
Hothon se dekhun tujhe,
Aankhon se pukar loon
Khwahishein ye kehti hain,
Kehti rehti hain
Leke tujhe baahon mein
Shaamein guzaar loon
(Shaamein guzaar loon..)
Khuda bhi ab tujhe
Din raat dhoondta hoga
Itni anmol cheej
De di kaise, sochta hoga!