le aayi phir kahaan par
qismat humein kahaan se
le aayi phir kahaan par
qismat humein kahaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par
majboor kar rahi hai
phir gardish e zamana
majboor kar rahi hai
phir gardish e zamana
hum chhed dein wahin se
guzra hua fasaana
lekin koi bata de
bhoole hain hum kahaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par
teri hi anjuman mein
ye intezaar tera
teri hi anjuman mein
ye intezaar tera
tere bagair saathi
jashn e bahaar tera
ye kaun si adaa hai
puchhenge aasmaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par
benoor hain nigaahein
noor e nazar dikha do
benoor hain nigaahein
noor e nazar dikha do
muddat se dhoondti hoon
dil ka karaar la do
aankhon se keh rahi hoon
kehna tha jo zabaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par
mehfil mein aapki hum
kuchh aur to na laye
mehfil mein aapki hum
kuchh aur to na laye
naghmaat mein saja kar
jazbaat leke aaye
yaad aayenge bahut hum
jayenge jab yahaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par
qismat humein kahaan se
ye to wahi jagah hai
guzre the hum jahaan se
le aayi phir kahaan par