Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda

Zabeen afsurda afsurda kadam lagzida lagzida

Chala hun ek mujrim ki tarha mein janib e tayba

Nazar sharminda sharminda badan larzida larzida
Nazar sharminda sharminda badan larzida larzida
Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Kisi ke hath ne mujko sahara de diya warna

Kaha mein aur kaha ye raste pechida pechida
Kaha mein aur kaha ye raste pechida pechida
Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Basarat kho gai lekin basirat to salamat hai

Madina hamne dekha hai magar na deeda na deeda
Madina hamne dekha hai magar na deeda na deeda
Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Madine jaake ham samje takaddus kisko kahete hein

Hawa pakiza pakiza faza sanjida sanjida
Hawa pakiza pakiza faza sanjida sanjida