Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Apna mujhe banayega
Dil mein mujhe basaayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Kab se tanha ghum rahaa hoon
Duniyaa ke viraane mein
Khaali jaam liye baitha hoon
Kab se iss maikhaane mein
Koi to hoga mera saaki
Koi to pyaas bhujaayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Kisi ne mera dil na dekha
Na dil ka paigaam suna
Mujhko bas aawara samjha
Jisne mera naam suna
Ab tak to sabne thukraaya
Koi to pass bithayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Kabhi to dega sannate mein
Pyaar bhari aawaaz koi
Kaun ye jaane kab mil jaaye
Rasten mein humraaz koi
Mere dil ka dard samjh kar
Do aansoon to bahaayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Apna mujhe banayega
Dil mein mujhe basaayega
Kabhi na kabhi
Kahin na kahin
Koi na koi to aayega
Koi na koi to aayega