menu-iconlogo
logo

Humnava

logo
بول
Aa...

Hey humnava mujhe apna bana le

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Hmm.. hoon akela zara haath badha de

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Kabse main dar dar phir raha

Musafir dil ko panaah de

Tu aawargi ko meri aaj thhera de

Ho sake toh, thoda pyaar jata de

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Aa.. aye hey o..

Aa.. o..

Murjhaai si saankh pe dil ki

Phool khilte hain kyun

Baat gulon ki zikr mehak ka

Achha lagta hai kyun

Unn rangon se tune milaya

Jinse kabhi main mil na paaya

Dil karta hai tera sukriya

Phir se bahaar tu laa de

Dil ka soona banjar mehka de

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Hmm.. hoon akela zara haath badha de

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Waise toh mausam guzre hain

Zindagi mein kayi

Par ab na jaane kyun mujhe wo

Lag rahe hain haseen

Tere aane par jaana maine

Kahin na kahin zinda hoon main

Jeene laga hoon main

Ab ye fizayein chehre ko chhu'ti hawayein

Inki tarah do kadam to badha le

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

O.. hoon akela zara haath badha de

Sookhi padi dil ki iss zameen ko bheega de

Humnava بذریعہ Archit - بول اور کور