Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar
Dile dil jeer lekar
Luti jaagir lekar
Jali taqdeer lekar
Kya karoge kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Chale ho ab na jane kab miloge
Sabab koi banega tab miloge
Na jine ka na marane ka bahana
Katega kaise furkat ka zamana
Hume de jaao ek apni nishani
Badi hogi tumhari meharbani
Sukun ki to koi tadbeer hogi
Hamare pas yeh tasveer hogi
Meri tasveer bhi mujhsi kaha hai
Ke ye bejaan hai yeh bezuba hai
Tumhare kaam na ye aa sakegi
Tumhara dil na yeh behla sakegi
Junu me to girhebaa chaak hoga
Ke parvna to jal ke khak hoga
Tumhare samne jab hum no hoge
Ye gham tasveer se to kam na hoge
Yuhi tadpoge tum aahe bharoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Baja hai bat ye hum mante hai
Na behlegi tabiyat jante hai
Karengi hasrate fariyad aksar
Ke tum aaya karoge yad aksar
Ghame furkat na hoga yu gavara
Magar thoda sa to hoga sahara
Judai mein mulaqate karenge
Ke hum tasveer se bate karenge
Khayalo me basalo meri surat
Meri tasveer ki hai kya zarurat
Meri yadon ko samjho yadagare
Khiza me bhi rahengi phir bahare
Sama khwabo ka hota hai suhana
Kabhi aana kabhi mujhko bulana
Hume ek doosre ki did hogi
Nighahon ki dilo ki eid hogi
Na manoge to ro ro ke maroge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Bahane par banate ho bahana
Deewane ho banate ho deewana
Kuda jaane tumhe inkar kyu hai
Hume phir bhi tumhi se pyar kyu hai
Bade bedard ho dil todte ho
Sitam ke teer hum pe chhodte ho
Na aisi bewafaa beteer hogi
Bhali tum se to yeh tasveer hogi
Guzarish aap ke diladar ki hai
Wajah ek aur bhi inkar ki hai
Zamane ki nighaho se bachake
Ise tum laakh rakhoge chhupake
Kisi din dekh hi lega zamana
O bada mashhur hoga yeh fasana
Jo logo ki zuba tak baat pahunche
To phir jane kaha tak bat pahunche
Kaho kya pyaar ko rusava karoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Hume manzoor yeh ruswaiya hai
Ke inse bhi buri tanhaiyan hai
Mohabbat ke nahi dastoor aise
Hume charche nahi manzur aise
Wafa mein log lutate hai jaane
Tumhe ashiq bhala hum kese mane
Shubha ho ishq mein to imteha lo
Meri tasveer na lo meri jaa lo
Kaho jaane wafa ab kya kahoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Zubaa kyun ruk gayi hai
Ho nigah kyun jhuk gayi hai
Aji ghabara gaye kya
Kaho sharma gaye kya
Abhi hai raat baqi
Abhi hai baat baqi
Abhi se haar baithe
Dilo jaa vaar baithe
Naya andaz koi
Nayi parwaz koi
Labon ko si liya kya
Zahar ko pi liya kya
Chale takraar aage
Chalo sarkaar aage
Bane tasveer kya baithe rahoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar
Dile dil jeer lekar
Luti jaagir lekar
Jali taqdeer lekar
Kya karoge kya karoge
Tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge
Tum meri tasveer lekar