Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
kay miinaar nazar aa-ay(x2)
Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay(x2)
Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay(x2)
Jiss waqt Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
ka darbaar nazar aa-ay(x2)
Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn(x2)
Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay(x2)
Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay(x2)
Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay(x2)
Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn(x2)
Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay(x2)
Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
kay miinaar nazar aa-ay