Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Tu hi tu hai sanam
Dekhta hoon jahan
Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Bin tere ab jeeya jaye na
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Waqt jaise thehar gaya hai yahin
Har taraf ek ajab udasi hai
Bekarari ka aisa aalam hai
Jism tanha hai, rooh pyaasi hai
Teri soorat ab ek pal
Kyun nazar se hatti nahi
Raat din toh kat jaate hai
Umar tanha katti nahi
Chahke bhi na kuch keh sakoon tujhse main
Chahke bhi na kuch keh sakoon tujhse main
Dard kaise karoon main bayaan
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Jab kahin bhi aahat hui
Yoon laga ke tu aa gaya
Khushboo ke jhoke ki tarah
Meri saansein mehka gaya
Ek woh daur tha, hum sada paas the
Ek woh daur tha, hum sada paas the
Ab toh hai faasle darmiyan
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Beeti baatein yaad aati hai
Jab akela hota hoon main
Bolti hai khamoshiyan
Sabse chupke rota hoon main
Ek arsa hua muskuraye huye
Ek arsa hua muskuraye huye
Aasuon mein dhali dastaan
Main yahan tu wahan
Zindagi hai kahan
Tu hi tu hai sanam
Dekhta hoon jahan
Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Bin tere ab jeeya jaye na