Ek akela iss shahar me,
rat me aur dopahar me
Aabodana dhundata hai
aashiyana dhundata hai
Ek akela iss shahar me,
rat me aur dopahar me
Aabodana dhundata hai
aashiyana dhundata hai
Ek akela iss....
Din khalee khalee bartan hai..2
aur rat hai jaise andha kuan
Inn sunee andheree aankho se
aansun kee jagah aata hain dhuan
Jine kee vajah toh koyee nahee
marne kaa bahana dhundata hai
Ek akela iss shahar me,
rat me aur dopahar me
Aabodana dhundata hai
aashiyana dhundata hai
Ek akela iss....
Inn umar se lambee sadkon ko..2
manjil pe pohonchte dekha nahee
Bas daudatee phirtee rahtee hain
hamne toh theherte dekha nahee
Iss ajnabee se shahar me
jana pehechana dhundata hai
Ek akela iss shahar me,
rat me aur dopahar me
Aabodana dhundata hai
aashiyana dhundata hai
Ek akela iss....