menu-iconlogo
logo

Do Deewane Shaher Mein Gharonda

logo
بول
Do deewane shahar mein

Do deewane shahar mein

Raat mein ya dopahar mein

Aab o dana

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane shahar mein

Raat mein ya dopahar mein

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane

In bhoolbhulaiya galiyon mein

Apna bhi koi ghar hoga

Ambar pe khulegi khidki ya

Khidki pe khula ambar hoga

In bhoolbhulaiya galiyon mein

Apna bhi koi ghar hoga

Ambar pe khulegi khidki ya

Khidki pe khula ambar hoga

Asmani rang ki ankhon mein

Asmani ya aasmani

Asmani rang ki ankhon mein

Basne ka bahana dhoondhte hain

Dhoondhte hain

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane shahar mein

Raat mein ya dopahar mein

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane

Aaaa…..aaaa..oooo

Jab taare zameen par

Taare, aur zameen par?

Of course!

Jab taare zameen par chalte hain

Hmmmm….

Akash zameen ho jata hai

Us raat nahin phir ghar jata

Woh chaand yahin so jaata hai

Jab taare zameen par chalte hain

Akash zameen ho jata hai

Us raat nahin phir ghar jaata

Woh chaand yahin so jata hai

Pal bhar ke liye

Pal bhar ke liye

Pal bhar ke liye in ankhon mein

Hum ek zamana dhoondhte hain

Dhoondhte hain

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane shahar mein

Raat mein ya dopahar mein

Aab o dana dhoondhte hain

Ek aashiyana dhoondhte hain

Do deewane,

Do deewane

Do deewane,

Haan do deewane

Do deewane,

Haan do deewane