menu-iconlogo
huatong
huatong
dewudewu-tere-sang-yaara-cover-image

Tere sang yaara

Dewu.Dewuhuatong
Tʋsʜʌʀ-Sʜʌʀɱʌhuatong
بول
ریکارڈنگز
O karam Khudaya hai...

Tujhe mujhse milaya hai

Tujhpe marke hi toh

Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara…

Khushrang bahara

Tu raat deewani

Main zard sitaara

O tere sang yaara

Khushrang bahara

Main tera ho jaaun

Jo tu karde ishara

Kahin kisi bhi gali me jaaun main

Teri khushboo se takraaun main

Har raat jo aata hai mujhe

Woh khwaab tu…

Tera mera milna dastoor hai

Tere hone se mujhme noor hai

Main hoon soona sa ek aasmaan

Mehtaab tu…

O karam Khudaya hai

Tujhe maine jo paaya hai

Tujhpe marke hi toh

Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara

Khushrang bahara

Tu raat deewani

Main zard sitaara

O tere sang yaara

Khushrang bahara

Tere bin ab toh

Na jeena gawara

Maine chhode hain baaki saare raste

Bas aaya hoon tere paas re

Meri aankhon mein tera naam hai

Pehchaan le…

Sab kuch mere liye tere baad hai

Sau baaton ki ik baat hai

Main na jaunga kabhi tujhe chhod ke

Yeh jaan le

O karam Khudaya hai

Tera pyar jo paaya hai

Tujhpe marke hi toh

Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara

Khushrang bahara

Tu raat deewani

Main zard sitaara

O tere sang yaara

Khushrang bahara

Main behta musafir

Tu thehra kinara

یہ بھی پسند آسکتا ہے