Aaaaaaaaaaaaaaaa
Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri
Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri
Ho mere dum se yun hi
Mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti
Hai chaman ki zeenat
Zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
Ilm ki shamma se ho
Mujhko mohabbat ya rab
Ho mera kaam garibon ki himaayat karna
Dard mando se zaeefon se mohabbat karna
Mere allaah buraayi se bachchana mujhko
Nek jo raah ho uss reh
Pe chalaana mujhko
Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri
Aaaaaaaaaaaaaaaa