Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Jo hijr-e-tayba me.n yaad ban kar
KHayaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Teri duaao.n hi ki badaulat
Azaab-e-rab se bache hue hai.n
Teri duaao.n hi ki badaulat
Azaab-e-rab se bache hue hai.n
Jo haq me.n ummat ke tere lab par
Sawaal aaya, kamaal aaya !
Jo haq me.n ummat ke tere lab par
Sawaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Guroor umayya ka to.D Daala
Dikha ke imaan waala jazbaa
Guroor umayya ka to.D Daala
Dikha ke imaan waala jazbaa
Jo habshiyo.n me.n Gulaam tera
Bilaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ki aamad se noor faila
Faza-e-shab par nikhaar aaya
Nabi ki aamad se noor faila
Faza-e-shab par nikhaar aaya
Chaman me.n kaliyo.n ke ruKH pe
Husn-o-jamaal aaya, kamaal aaya !
Jo hijr-e-tayba me.n yaad ban kar
KHayaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Laqab jo siddiq tera Thahra
Niraala sab se hai tera pahra
Laqab jo siddiq tera Thahra
Niraala sab se hai tera pahra
Nabi ke shaatim pe jaise tujh ko
Jalaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ke shaatim pe jaise tujh ko
Jalaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Umar ki jur.at pe jaau.n qurbaa.n
The qaisar-o-kisra jin se larzaa.n
Umar ki jur.at pe jaau.n qurbaa.n
The qaisar-o-kisra jin se larzaa.n
Umar ke aane se kufr par jo
Zawaal aaya, kamaal aaya
Umar ke aane se kufr par jo
Zawaal aaya, kamaal aaya
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Husain ibn-e-'ali ka naara
Zabaa.n par aaya to dil pukaara
Husain ibn-e-'ali ka naara
Zabaa.n par aaya to dil pukaara
Nabi ka pyaara, hasee.n dulaara
Kamaal aaya ! kamaal aaya !
Nabi ka pyaara, hasee.n dulaara
Kamaal aaya ! kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi to, Saaim ! sabhi hai.n aa'la
Hai.n rutbe sab ke azeem-o-baala
Nabi to, Saaim ! sabhi hai.n aa'la
Hai.n rutbe sab ke azeem-o-baala
Magar jo aaKHir me.n aamina ka
Wo laal aaya, kamaal aaya !
Magar jo aaKHir me.n aamina ka
Wo laal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !
Nabi ka lab par jo zikr hai
Be-misaal aaya, kamaal aaya !