Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Chheen Lo
Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Chheen Lo
Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani..
Lyrics: SUDARSHAN FAKIR
Muhalle Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise
Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me
Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon me
Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Wo Chhotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani..
Wo Kagaz Ki Kashti.....
Wo Baarish Ka Paani...
Kaadi Dhoop Me
Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul
Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe
Ladna Jhagadna,
Wo Jhuloon Se Girna
Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke
Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue
Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti
Wo Baarish Ka Paani,
Wo Kagaz Ki Kashti
Wo Baarish Ka Paani ,
Kabhi Ret Ke Oonche
Tiloo Pe Jana
Gharoonde Bana’na
Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo Khwaboo Khilaoo Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha
Na Rishto Ke Bandhan
Badi Khoobsurat
Thi Wo Zindagani..
Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo
Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...