Hazaron khwahishen aisi
K har khwaish pe dam nikle
Bahut nikle mere arman
Lekin phir bhi kam nikle
Nikalna khuld se adam ka
Sunte aye hain lekin
Bahut be aabru hokar
Tere kuche se ham nikle
Muhabbat mein nahi hai
Farq jine aur marne ka
Muhabbat mein nahi hai
Farq jine aur marne ka
Usi ko dekh kar jite hain
Jis kafir pe dam nikle
Hazaron khwahishen aisi
K har khwaish pe dam nikle
Bahut nikle mere arman
Lekin phir bhi kam nikle
Khuda k waste
Parda na kabe se utha zalim
Khuda k waste
Parda na kabe se utha zalim
Kahi aisa na ho yan bhi
Wahi kafir sanam nikle
Kahan maikhane ka darwaza 'ghalib'
Aur kahan waiz
Kahan maikhane ka darwaza 'ghalib'
Aur kahan waiz
Par itna jante hain
Kal wo jata tha k ham nikle
Hazaron khwahishen aisi
K har khwaish pe dam nikle
Bahut nikle mere arman
Lekin phir bhi kam nikle
Hmm hmm hmm hmm hmm hmm hm
Hmm hmm hmm hmm hmm hmm hm
Hmm hmm hmm hmm hmm hmm hm
Hmm hmm hmm hmm hmm hmm hm